aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga
ālūda-e-isyāñ ḳhud ki hai dil vo mān-e-isyāñ kyā hogā
jo apnī hifāzat kar na sakā vo merā nigahbāñ kyā hogā
zauq-e-dil-e-shāhāñ paidā kar tāj-e-sar-e-shāhāñ kyā hogā
jo luT na sake vo sāmāñ kar luT jaa.e jo sāmāñ kyā hogā
ġham-ḳhāna sanam-ḳhāna aivāñ yā ḳhāna-e-vīrāñ kyā hogā
qissa hai dil-e-dīvāna kā hairāñ huuñ ki unvāñ kyā hogā
jo sair-e-chaman ko aatā hai vo tālib-e-gul hī hotā hai
pūchhe koī un nā-dānoñ se ḳhār-e-chamanistāñ kyā hogā
kuchh shikva nahīñ itnā sun le ai mast-e-sitam nāvak-afgan
dil hī na rahegā jab merā phir terā ye paikāñ kyā hogā
ai hañsne hañsāne vaale jā afsurdagi-e-dil baḌhtī hai
jis ko ho azal se nisbat-e-ġham hañsne se vo ḳhandāñ kyā hogā
aaj apnī 'nazar' se vo dekheñ ye silsila-e-tūfāñ aa kar
kal kahte the jo hairāñ ho kar sāhil pe bhī tūfāñ kyā hogā
aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga
jo apni hifazat kar na saka wo mera nigahban kya hoga
zauq-e-dil-e-shahan paida kar taj-e-sar-e-shahan kya hoga
jo luT na sake wo saman kar luT jae jo saman kya hoga
gham-KHana sanam-KHana aiwan ya KHana-e-viran kya hoga
qissa hai dil-e-diwana ka hairan hun ki unwan kya hoga
jo sair-e-chaman ko aata hai wo talib-e-gul hi hota hai
puchhe koi un na-danon se KHar-e-chamanistan kya hoga
kuchh shikwa nahin itna sun le ai mast-e-sitam nawak-afgan
dil hi na rahega jab mera phir tera ye paikan kya hoga
ai hansne hansane wale ja afsurdagi-e-dil baDhti hai
jis ko ho azal se nisbat-e-gham hansne se wo KHandan kya hoga
aaj apni 'nazar' se wo dekhen ye silsila-e-tufan aa kar
kal kahte the jo hairan ho kar sahil pe bhi tufan kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.