aamad-e-yar ki aai jo KHabar haule se
āmad-e-yār kī aa.ī jo ḳhabar haule se
khul ga.e merī tamannāoñ ke par haule se
ek tūfān uThā.e hue baiThā hai yahāñ
vo mire dil meñ gayā thā jo utar haule se
shor kyūñkar tū machātā hai masīhā ye batā
dekh bīmār gayā hai tirā mar haule se
raakh samjhe hai mohabbat ko ye duniyā jo kabhī
raqs kartā hai kahīñ koī sharar haule se
kaash mil jaa.e mujhe merī duāoñ kā sila
kaash khul jaa.e kisī roz vo dar haule se
kyā huā hai ki tire ba.ad mah-o-sāl mire
bin chhue hī mujhe jaate haiñ guzar haule se
raah dushvār sahī saath tumhārā ho agar
yaar kaT jā.egā sāñsoñ kā safar haule se
ḳhaar tab se hī nazar meñ hai sabhī kī 'afzal'
aap ne jab se hai kī us pe nazar haule se
aamad-e-yar ki aai jo KHabar haule se
khul gae meri tamannaon ke par haule se
ek tufan uThae hue baiTha hai yahan
wo mere dil mein gaya tha jo utar haule se
shor kyunkar tu machata hai masiha ye bata
dekh bimar gaya hai tera mar haule se
rakh samjhe hai mohabbat ko ye duniya jo kabhi
raqs karta hai kahin koi sharar haule se
kash mil jae mujhe meri duaon ka sila
kash khul jae kisi roz wo dar haule se
kya hua hai ki tere baad mah-o-sal mere
bin chhue hi mujhe jate hain guzar haule se
rah dushwar sahi sath tumhaara ho agar
yar kaT jaega sanson ka safar haule se
KHar tab se hi nazar mein hai sabhi ki 'afzal'
aap ne jab se hai ki us pe nazar haule se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.