aana ho to aa jao bahana nahin achchha
aana ho to aa jao bahana nahin achchha
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
aanā ho to aa jaao bahānā nahīñ achchhā
har roz kā mujh ko ye satānā nahīñ achchhā
piirī meñ samajh aa.ī javānī ga.ī afsos
ma.alūm huā dil kā lagānā nahīñ achchhā
ik dard-rasīda kī zarā aañkh lagī hai
ai murġh-e-sahar-ḳhez jagānā nahīñ achchhā
qashqa jise kahte haiñ vo hai dāġh-e-ġhulāmī
ai barhaman is kā to lagānā nahīñ achchhā
jo kahnā ho ḳhalvat meñ bulā kar mujhe kah lo
bāteñ ye sar-e-bazm sunānā nahīñ achchhā
bekār kī ranjish hai lipaT jaao gale se
āshiq huuñ mujhe itnā satānā nahīñ achchhā
hangāma-e-mahshar mire shikvoñ meñ nihāñ hai
hai zabt-e-nafas shart zamāna nahīñ achchhā
mil jā.iye milnā hai agar 'shād' se manzūr
har roz ye hiila ye bahānā nahīñ achchhā
aana ho to aa jao bahana nahin achchha
har roz ka mujh ko ye satana nahin achchha
piri mein samajh aai jawani gai afsos
malum hua dil ka lagana nahin achchha
ek dard-rasida ki zara aankh lagi hai
ai murgh-e-sahar-KHez jagana nahin achchha
qashqa jise kahte hain wo hai dagh-e-ghulami
ai barhaman is ka to lagana nahin achchha
jo kahna ho KHalwat mein bula kar mujhe kah lo
baaten ye sar-e-bazm sunana nahin achchha
bekar ki ranjish hai lipaT jao gale se
aashiq hun mujhe itna satana nahin achchha
hangama-e-mahshar mere shikwon mein nihan hai
hai zabt-e-nafas shart zamana nahin achchha
mil jaiye milna hai agar 'shad' se manzur
har roz ye hila ye bahana nahin achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.