aandhi chali jo ret ki sara badal gaya
āñdhī chalī jo ret kī saarā badal gayā
sahrā kā ek pal meñ nazāra badal gayā
phir se udhar na jaane kī tākīd dil ne kī
par kyā kareñ mizāj dobāra badal gayā
thoḌī sī faisle kī mayassar ho mohlateñ
samjheñ to is se pahle ishāra badal gayā
thā rang dhuup kā to barābar khilā huā
bādal magar nasīb kā maarā badal gayā
lab band the to baat thī koī bañdhī huī
khulte hī jo bharam thā hamārā badal gayā
ab to jahāñ bhī dekho hai daldal kā sāmnā
jis kā kināra samjhe kināra badal gayā
'parvez' āsmān kā manzar to saaf thā
dāman ghaTā ne jaise pasārā badal gayā
aandhi chali jo ret ki sara badal gaya
sahra ka ek pal mein nazara badal gaya
phir se udhar na jaane ki takid dil ne ki
par kya karen mizaj dobara badal gaya
thoDi si faisle ki mayassar ho mohlaten
samjhen to is se pahle ishaara badal gaya
tha rang dhup ka to barabar khila hua
baadal magar nasib ka mara badal gaya
lab band the to baat thi koi bandhi hui
khulte hi jo bharam tha hamara badal gaya
ab to jahan bhi dekho hai daldal ka samna
jis ka kinara samjhe kinara badal gaya
'parwez' aasman ka manzar to saf tha
daman ghaTa ne jaise pasara badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.