aandhi hai tez dhul se ghar aur aT na jae
āñdhī hai tez dhuul se ghar aur aT na jaa.e
TuuTe kivāḌ band karo dam ulaT na jaa.e
be-samt zindagī kā safar ban kī raat hai
nāgin sā vaqt Das ke achānak palaT na jaa.e
ujḌā huā makān hai dastak na dījiye
saaya koī kahīñ se nikal kar lipaT na jaa.e
chhoTā sā ghar sahī use rakhiye sambhāl ke
mulkoñ kī qismatoñ kī tarah ye bhī baT na jaa.e
shīshe ke ghar meñ soch ke rakhiye 'zafar' qadam
sañg-e-sadā kī chuuk se dīvār phaT na jaa.e
aandhi hai tez dhul se ghar aur aT na jae
TuTe kiwaD band karo dam ulaT na jae
be-samt zindagi ka safar ban ki raat hai
nagin sa waqt Das ke achanak palaT na jae
ujDa hua makan hai dastak na dijiye
saya koi kahin se nikal kar lipaT na jae
chhoTa sa ghar sahi use rakhiye sambhaal ke
mulkon ki qismaton ki tarah ye bhi baT na jae
shishe ke ghar mein soch ke rakhiye 'zafar' qadam
sang-e-sada ki chuk se diwar phaT na jae
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 99 )
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.