aandhiyan uThti hain tahzib ke viranon mein
āñdhiyāñ uThtī haiñ tahzīb ke vīrānoñ meñ
jhūTe kirdār haiñ sachchā.ī ke afsānoñ meñ
aañkh jo dekhtī hai kahnā baḌā mushkil hai
shor hī shor hai harfoñ ke nigahbānoñ meñ
kyā ayādat kyā aqīdat kyā hai sajda-rezī
bas ḳhudā naam kā hai aaj ke insānoñ meñ
maut āsāñ nahīñ is kārgah-e-hastī meñ
ham ko amrit milā zahrāb ke paimānoñ meñ
raushnī se to hī zinda nahīñ har shaḳhs yahāñ
vo bhī haiñ log jo zinda haiñ siyah-ḳhānoñ meñ
ham to 'rāhī' kabhī mandir kabhī masjid bhī ga.e
dil ko taskīñ milī vīrān sanam-ḳhānoñ meñ
aandhiyan uThti hain tahzib ke viranon mein
jhuTe kirdar hain sachchai ke afsanon mein
aankh jo dekhti hai kahna baDa mushkil hai
shor hi shor hai harfon ke nigahbanon mein
kya ayaadat kya aqidat kya hai sajda-rezi
bas KHuda nam ka hai aaj ke insanon mein
maut aasan nahin is kargah-e-hasti mein
hum ko amrit mila zahrab ke paimanon mein
raushni se to hi zinda nahin har shaKHs yahan
wo bhi hain log jo zinda hain siyah-KHanon mein
hum to 'rahi' kabhi mandir kabhi masjid bhi gae
dil ko taskin mili viran sanam-KHanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.