aandhiyon mein agar gul khila rah gaya
āñdhiy.oñ meñ agar gul khilā rah gayā
yuuñ lagā surḳh mausam dharā rahā gayā
rahmateñ jo luTātā hai har dam yahāñ
us ke dar par jo aaya khaḌā rah gayā
mil gayā hai mujhe jab se merā sanam
ye zamāna mujhe dekhtā rah gayā
āñdhiyāñ nafratoñ kī yahāñ chal rahīñ
maiñ mohabbat yahāñ bāñTtā rah gayā
kar liyā hai guzar yuuñ faqīrī meñ bhī
ziist kā yuuñ mire vāqi'a rah gayā
dard meñ jab kisī ke nahīñ saath ho
ḳhud se ḳhud kā bhī kyā vāsta rah gayā
khul rahī hai silā.ī mohabbat kī bhī
aur 'āqib' rafū dekhtā rah gayā
aandhiyon mein agar gul khila rah gaya
yun laga surKH mausam dhara raha gaya
rahmaten jo luTata hai har dam yahan
us ke dar par jo aaya khaDa rah gaya
mil gaya hai mujhe jab se mera sanam
ye zamana mujhe dekhta rah gaya
aandhiyan nafraton ki yahan chal rahin
main mohabbat yahan banTta rah gaya
kar liya hai guzar yun faqiri mein bhi
zist ka yun mere waqi'a rah gaya
dard mein jab kisi ke nahin sath ho
KHud se KHud ka bhi kya wasta rah gaya
khul rahi hai silai mohabbat ki bhi
aur 'aqib' rafu dekhta rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.