aandhiyon se kaise khelega tah-e-daman charagh
āñdhiy.oñ se kaise khelegā tah-e-dāman charāġh
chal ke āġhosh-e-havā meñ kījiye raushan charāġh
phūTtī hai tan ke andar hī se man kī raushnī
ye diye baatī kā rishta aur ye tan-man charāġh
yuuñ to kaalī raat sī hai ye ghaTā barsāt kī
us kī chaukhaT par jalātā hai magar sāvan charāġh
yaad ke kohre meñ lipTā chāñd sā chehra koī
jaise raushan ho darīche meñ pas-e-chilman charāġh
dasht-e-zulmat meñ safar yuuñ nange pairoñ tai huā
aable talvoñ ke phūTe jal uThe ban ban charāġh
luuT kar ab kaun le jā.egā ye māl-o-matā'
be-dar-o-dīvār sā ghar aur be-roġhan charāġh
us kī jhilmil āhaTeñ dīvār ke pīchhe mirī
ho ga.e sab rauzan-e-dīvār ghar āñgan charāġh
in dinoñ tārīkiyoñ ke sar pe hai zill-e-humā
ab kahāñ le jā ke rakkhe apnā ujlā-pan charāġh
'aks ho yā raushnī donoñ se ab Dartā hai vo
duur rakhiye us se shām-e-zindagī darpan charāġh
aandhiyon se kaise khelega tah-e-daman charagh
chal ke aaghosh-e-hawa mein kijiye raushan charagh
phuTti hai tan ke andar hi se man ki raushni
ye diye baati ka rishta aur ye tan-man charagh
yun to kali raat si hai ye ghaTa barsat ki
us ki chaukhaT par jalata hai magar sawan charagh
yaad ke kohre mein lipTa chand sa chehra koi
jaise raushan ho dariche mein pas-e-chilman charagh
dasht-e-zulmat mein safar yun nange pairon tai hua
aable talwon ke phuTe jal uThe ban ban charagh
luT kar ab kaun le jaega ye mal-o-mata'
be-dar-o-diwar sa ghar aur be-roghan charagh
us ki jhilmil aahaTen diwar ke pichhe meri
ho gae sab rauzan-e-diwar ghar aangan charagh
in dinon tarikiyon ke sar pe hai zill-e-huma
ab kahan le ja ke rakkhe apna ujla-pan charagh
'aks ho ya raushni donon se ab Darta hai wo
dur rakhiye us se sham-e-zindagi darpan charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.