aane ki paDi hai kabhi jaane ki paDi hai
aane kī paḌī hai kabhī jaane kī paḌī hai
is dil ko faqat milne milāne kī paḌī hai
bādal bhī lagātār haiñ chhā.e hue is par
aur chāñd ko sūrat bhī dikhāne kī paḌī hai
lāsheñ bhī paḌī haiñ yahāñ chīḳheñ bhī bahut haiñ
is vaqt bhī logoñ ko ḳhazāne kī paḌī hai
ik baar use maiñ ne faqat jaan kahā thā
ab us se mujhe jaan chhuḌāne kī paḌī hai
vo kal kā shikārī hai use pal kī ḳhabar kyā
jangal meñ use ghaat lagāne kī paḌī hai
sab chor luTere haiñ yahāñ kaun valī hai
aise meñ bhī 'zebī' ko zamāne kī paḌī hai
aane ki paDi hai kabhi jaane ki paDi hai
is dil ko faqat milne milane ki paDi hai
baadal bhi lagatar hain chhae hue is par
aur chand ko surat bhi dikhane ki paDi hai
lashen bhi paDi hain yahan chiKHen bhi bahut hain
is waqt bhi logon ko KHazane ki paDi hai
ek bar use main ne faqat jaan kaha tha
ab us se mujhe jaan chhuDane ki paDi hai
wo kal ka shikari hai use pal ki KHabar kya
jangal mein use ghat lagane ki paDi hai
sab chor luTere hain yahan kaun wali hai
aise mein bhi 'zebi' ko zamane ki paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.