aane ko to baalin par wo jaan-e-bahaar aaya
aane ko to bālīñ par vo jān-e-bahār aaya
lekin dil-e-muztar ko phir bhī na qarār aaya
har rahbar-e-manzil se pūchhā hai nishāñ terā
kar mujh pe yaqīñ tujh ko har samt pukār aaya
andāz-e-taġhāful par ġhussa thā bahut lekin
vo sāmne jab aa.e be-sāḳhta pyaar aaya
ai ahl-e-ḳhirad tum ne ulTā na naqāb un kā
aur merā junūñ jā kar zulfoñ ko sañvār aaya
the merī tabī.at par jo baar 'kalīm' ab tak
pāband-e-ḳhirad rah kar vo din bhī guzār aaya
aane ko to baalin par wo jaan-e-bahaar aaya
lekin dil-e-muztar ko phir bhi na qarar aaya
har rahbar-e-manzil se puchha hai nishan tera
kar mujh pe yaqin tujh ko har samt pukar aaya
andaz-e-taghaful par ghussa tha bahut lekin
wo samne jab aae be-saKHta pyar aaya
ai ahl-e-KHirad tum ne ulTa na naqab un ka
aur mera junun ja kar zulfon ko sanwar aaya
the meri tabiat par jo bar 'kalim' ab tak
paband-e-KHirad rah kar wo din bhi guzar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.