aane laga maza use pahle paDao par
aane lagā maza use pahle paḌāo par
hairān huuñ maiñ āḳhirī manzar ko soch kar
merī nazar se duur tū hone lagā magar
tā-'umr merī diid ko tarse tirī nazar
vīrāñ dikhā.ī de rahā jo gaañv duur tak
maujūd thā yahīñ kabhī merā bhī ek ghar
banjar zamīñ ko ḳhuun se sīñchā khilā.e phuul
tūfāñ kī zad meñ aa ga.e phir ek din shajar
qismat ne mujh ko dekh le luuTā hai kis tarah
andāza lag rahā hai mirī shakl dekh kar
bachpan meñ bhaa.ī chal basā us kā bhī dukh sahā
kuchh saal baa'd aa ga.ī maañ baap kī ḳhabar
do chaar din se vo bhī hai rūThā huā bahut
khāne lagā hai mujh ko bhī khone kā us ko Dar
aane laga maza use pahle paDao par
hairan hun main aaKHiri manzar ko soch kar
meri nazar se dur tu hone laga magar
ta-'umr meri did ko tarse teri nazar
viran dikhai de raha jo ganw dur tak
maujud tha yahin kabhi mera bhi ek ghar
banjar zamin ko KHun se sincha khilae phul
tufan ki zad mein aa gae phir ek din shajar
qismat ne mujh ko dekh le luTa hai kis tarah
andaza lag raha hai meri shakl dekh kar
bachpan mein bhai chal basa us ka bhi dukh saha
kuchh sal ba'd aa gai man bap ki KHabar
do chaar din se wo bhi hai ruTha hua bahut
khane laga hai mujh ko bhi khone ka us ko Dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.