aane wali kal ki de kar KHabar gaya ye din bhi
aane vaalī kal kī de kar ḳhabar gayā ye din bhī
māh-e-visāl kī shiryānoñ meñ utar gayā ye din bhī
lamha lamha saa.at saa.at pal pal meñ taqsīm huā
reza reza hote hote bikhar gayā ye din bhī
us kī tābānī par kitne hī sūraj qurbān hue
apne hone kā dukh sah kar magar gayā ye din bhī
sard havā kā jhoñkā thā jo sannāTo ko chiir gayā
kitne diloñ par dastak de kar guzar gayā ye din bhī
ham to apnī nīñdoñ meñ ḳhvāboñ ko jagā kar ḳhvār hue
mauj-e-sarāb meñ Dhal kar jaane kidhar gayā ye din bhī
aane wali kal ki de kar KHabar gaya ye din bhi
mah-e-visal ki shiryanon mein utar gaya ye din bhi
lamha lamha saat saat pal pal mein taqsim hua
reza reza hote hote bikhar gaya ye din bhi
us ki tabani par kitne hi suraj qurban hue
apne hone ka dukh sah kar magar gaya ye din bhi
sard hawa ka jhonka tha jo sannaTo ko chir gaya
kitne dilon par dastak de kar guzar gaya ye din bhi
hum to apni nindon mein KHwabon ko jaga kar KHwar hue
mauj-e-sarab mein Dhal kar jaane kidhar gaya ye din bhi
- Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 25)
- Author : Nasir Zaidi
- Publication : Zahid Malik (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.