aangan mein aangan hai na dalan ye ghar kaisa hai
āñgan meñ āñgan hai na dālān ye ghar kaisā hai
us ke har kamre meñ shaitān ye ghar kaisā hai
puḳhta us ke dar-o-dīvār darīche raushan
aur mujrim haiñ nigahbān ye ghar kaisā hai
yaañ makīnoñ ke diloñ se haiñ umañgeñ ġhā.eb
aur dimāġhoñ meñ haiñ hizyān ye ghar kaisā hai
koī rishtoñ kā taqaddus hai na hurmat kā ḳhayāl
bāhamī pyaar kā fuqdān ye ghar kaisā hai
jis se miliye nazar aatā hai ba-zāhir ḳhush-hāl
andar andar se pareshān ye ghar kaisā hai
kyā isī ghar meñ rahā karte the mere ajdād
jis ke har goshe meñ tūfān ye ghar kaisā hai
dar-o-dīvār se uThne lagī nafrat kī lapaT
har taraf maut kā sāmān ye ghar kaisā hai
nafsī-nafsī kā sā aalam hai yahāñ chaar taraf
kuchh batāo to mirī jaan ye ghar kaisā hai
ḳhud to koshish nahīñ kartā hai samajhne kī 'sahar'
pūchhtā phirtā hai nādān ye ghar kaisā hai
aangan mein aangan hai na dalan ye ghar kaisa hai
us ke har kamre mein shaitan ye ghar kaisa hai
puKHta us ke dar-o-diwar dariche raushan
aur mujrim hain nigahban ye ghar kaisa hai
yan makinon ke dilon se hain umangen ghaeb
aur dimaghon mein hain hizyan ye ghar kaisa hai
koi rishton ka taqaddus hai na hurmat ka KHayal
bahami pyar ka fuqdan ye ghar kaisa hai
jis se miliye nazar aata hai ba-zahir KHush-haal
andar andar se pareshan ye ghar kaisa hai
kya isi ghar mein raha karte the mere ajdad
jis ke har goshe mein tufan ye ghar kaisa hai
dar-o-diwar se uThne lagi nafrat ki lapaT
har taraf maut ka saman ye ghar kaisa hai
nafsi-nafsi ka sa aalam hai yahan chaar taraf
kuchh batao to meri jaan ye ghar kaisa hai
KHud to koshish nahin karta hai samajhne ki 'sahar'
puchhta phirta hai nadan ye ghar kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.