aankh apne hi taqazon se haya karti hai
aañkh apne hī taqāzoñ se hayā kartī hai
koī ḳhushbū mujhe phūloñ se judā kartī hai
ek āñdhī hai ki kartī hai adāvat har din
ek mash'al hai ki duniyā se vafā kartī hai
ye to kab rok sakī dil se bichhaḌne vaale
'iid apne hī usūloñ pe huā kartī hai
koī titlī hai ki rotī hai ḳhushī ke aañsū
koī dul.han hai ki jo chāñd takā kartī hai
sub.h laatī hai ujāle se naved-e-gulshan
raat rūThe hue tāroñ se vafā kartī hai
'iid hotī hai ḳhushī milne kī lekin us din
zindagī apnī udāsī se milā kartī hai
ḳhvāb ke dasht meñ ik ashk bahāne ke liye
koī rūThī huī tā'bīr khulā kartī hai
zindagī apnī musāfir thī musāfir ho kar
yūñhī tanhā.ī ke parde meñ sanā kartī hai
aankh apne hi taqazon se haya karti hai
koi KHushbu mujhe phulon se juda karti hai
ek aandhi hai ki karti hai adawat har din
ek mash'al hai ki duniya se wafa karti hai
ye to kab rok saki dil se bichhaDne wale
'id apne hi usulon pe hua karti hai
koi titli hai ki roti hai KHushi ke aansu
koi dulhan hai ki jo chand taka karti hai
subh lati hai ujale se nawed-e-gulshan
raat ruThe hue taron se wafa karti hai
'id hoti hai KHushi milne ki lekin us din
zindagi apni udasi se mila karti hai
KHwab ke dasht mein ek ashk bahane ke liye
koi ruThi hui ta'bir khula karti hai
zindagi apni musafir thi musafir ho kar
yunhi tanhai ke parde mein sana karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.