aankh be-KHwabi pe qurban dil nisar-e-intizar
aañkh be-ḳhvābī pe qurbāñ dil nisār-e-intizār
aur hī hogā koī shikva-guzār-e-intizār
kar diyā hai kis ke jalve ne shikār-e-intizār
maiñ huuñ aur āThoñ pahar vo rahguzār-e-intizār
koī mujh se hashr ko milne kā va.ada kar gayā
ik qayāmat ho ga.e lail-o-nahār-e-intizār
jab kisī kā va.ada-e-fardā mujhe yaad aa gayā
phir ga.ī merī nazar meñ rahguzār-e-intizār
ab bhī hai ye haal dekhā jis taraf dekhā kiyā
merī hairānī hai goyā yādgār-e-intizār
vo chale aate haiñ betābāna mere paas kyoñ
allah-allah jazba-e-be-iḳhtiyār-e-intizār
kis tarah vo bul-havas ho vasl kā lazzat-shanās
jis ne luuTī ho na 'sā.ib' kuchh bahār-e-intizār
aankh be-KHwabi pe qurban dil nisar-e-intizar
aur hi hoga koi shikwa-guzar-e-intizar
kar diya hai kis ke jalwe ne shikar-e-intizar
main hun aur aaThon pahar wo rahguzar-e-intizar
koi mujh se hashr ko milne ka wada kar gaya
ek qayamat ho gae lail-o-nahaar-e-intizar
jab kisi ka wada-e-farda mujhe yaad aa gaya
phir gai meri nazar mein rahguzar-e-intizar
ab bhi hai ye haal dekha jis taraf dekha kiya
meri hairani hai goya yaadgar-e-intizar
wo chale aate hain betabana mere pas kyon
allah-allah jazba-e-be-iKHtiyar-e-intizar
kis tarah wo bul-hawas ho wasl ka lazzat-shanas
jis ne luTi ho na 'saib' kuchh bahaar-e-intizar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.