aankh bhar dekh lun na hoga phir
aañkh bhar dekh luuñ na hogā phir
ye jahāñ juuñ kā tuuñ na hogā phir
tū mayassar na ho to behtar hai
varna kār-e-junūñ na hogā phir
dukh bhī hai is kā aur ḳhush bhī huuñ
jo bhī kuchh hai vo yuuñ na hogā phir
kaash maiñ ḳhud se pūchh hī letā
tū mire saath kyoñ na hogā phir
'aish koī bhī dā.imī kab hai
so ye hāl-e-zabūñ na hogā phir
aankh bhar dekh lun na hoga phir
ye jahan jun ka tun na hoga phir
tu mayassar na ho to behtar hai
warna kar-e-junun na hoga phir
dukh bhi hai is ka aur KHush bhi hun
jo bhi kuchh hai wo yun na hoga phir
kash main KHud se puchh hi leta
tu mere sath kyon na hoga phir
'aish koi bhi daimi kab hai
so ye haal-e-zabun na hoga phir
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 77)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.