aankh Dale na falak se mah-e-taban munh par
aankh Dale na falak se mah-e-taban munh par
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
aañkh Daale na falak se mah-e-tābāñ muñh par
rakh lo phūloñ ke evaz zulf kā dāmāñ muñh par
naaz se aap jo chun leñ kahīñ afshāñ muñh par
saaf raushan nazar aa jaa.eñ charāġhāñ muñh par
aaj gesū nahīñ lahrāte haiñ ai jaañ muñh par
tum ne biThlā.e haiñ ye af.ī-e-pechāñ muñh par
piiTh pīchhe mire haq meñ to haiñ kaḌve kalime
mīThī bāteñ na karo ai shah-e-ḳhūbāñ muñh par
dast-e-jānāñ kī adā.eñ jo kare dast-e-junūñ
noch kar pheñk de dāmān-o-girebāñ muñh par
sāya-e-zulf nahīñ yaar ruḳh-e-raushan par
sub.h rāhat kī hai shām-e-ġham-e-hijrāñ muñh par
zikr jo aap ke pīchhe hai vahī aage hai
jhuuT kahte nahīñ hargiz kabhī insāñ muñh par
ġhā.ebāna jo koī be-adabī ho mujh se
kījiyegā na bayāñ us kā mirī jaañ muñh par
sach na samjho use jo tum ko koī jhuuT kahe
ḳhaak paḌtī nahīñ mahtāb ke ai jaañ muñh par
sach na samjho use jo tum ko koī jhuuT kahe
ḳhaak paḌtī nahīñ mahtāb ke ai jaañ muñh par
ganj se maar kī hotī hai hamesha ulfat
kyā huā aa ga.ī gar zulf-e-pareshāñ muñh par
aabrū merī baḌhe ġhair hoñ pānī-pānī
āb-e-ḳhanjar jo paḌe ai dil-e-nādāñ muñh par
surḳh-rūī kī tamanna meñ hamesha qātil
teġh maltī hai tirī ḳhūn-e-shahīdāñ muñh par
bosa-e-rū-e-munavvar kī havas be-jā hai
maar baiTheñ na kahīñ gesu-e-pechāñ muñh par
sahar-e-vasl kā kuchh kījiye mujh se va.ada
hai udāsī kī tarah shām-e-ġharībāñ muñh par
surḳh-rū gardan-e-bismil kī tarah ho jā.ūñ
de koī zaḳhm agar ḳhanjar-e-burrāñ muñh par
kyoñ na ho jumbish-e-abrū meñ ajal āshiq kī
mah-jabīñ rakhtī haiñ shamshīr ko uryāñ muñh par
chashm paidā to kare josh-e-asar naisāñ kā
ham bhī le leñge kabhī gauhar-e-ġhaltāñ muñh par
huuñ vo bulbul maiñ 'shagufta' chaman-e-ālam meñ
muñh kī khaa.e jo chaḌhe murġh-e-ġhazal-ḳhvāñ muñh par
aankh Dale na falak se mah-e-taban munh par
rakh lo phulon ke ewaz zulf ka daman munh par
naz se aap jo chun len kahin afshan munh par
saf raushan nazar aa jaen charaghan munh par
aaj gesu nahin lahraate hain ai jaan munh par
tum ne biThlae hain ye afi-e-pechan munh par
piTh pichhe mere haq mein to hain kaDwe kalime
miThi baaten na karo ai shah-e-KHuban munh par
dast-e-jaanan ki adaen jo kare dast-e-junun
noch kar phenk de daman-o-gireban munh par
saya-e-zulf nahin yar ruKH-e-raushan par
subh rahat ki hai sham-e-gham-e-hijran munh par
zikr jo aap ke pichhe hai wahi aage hai
jhuT kahte nahin hargiz kabhi insan munh par
ghaebana jo koi be-adabi ho mujh se
kijiyega na bayan us ka meri jaan munh par
sach na samjho use jo tum ko koi jhuT kahe
KHak paDti nahin mahtab ke ai jaan munh par
sach na samjho use jo tum ko koi jhuT kahe
KHak paDti nahin mahtab ke ai jaan munh par
ganj se mar ki hoti hai hamesha ulfat
kya hua aa gai gar zulf-e-pareshan munh par
aabru meri baDhe ghair hon pani-pani
aab-e-KHanjar jo paDe ai dil-e-nadan munh par
surKH-rui ki tamanna mein hamesha qatil
tegh malti hai teri KHun-e-shahidan munh par
bosa-e-ru-e-munawwar ki hawas be-ja hai
mar baiThen na kahin gesu-e-pechan munh par
sahar-e-wasl ka kuchh kijiye mujh se wada
hai udasi ki tarah sham-e-ghariban munh par
surKH-ru gardan-e-bismil ki tarah ho jaun
de koi zaKHm agar KHanjar-e-burran munh par
kyon na ho jumbish-e-abru mein ajal aashiq ki
mah-jabin rakhti hain shamshir ko uryan munh par
chashm paida to kare josh-e-asar naisan ka
hum bhi le lenge kabhi gauhar-e-ghaltan munh par
hun wo bulbul main 'shagufta' chaman-e-alam mein
munh ki khae jo chaDhe murgh-e-ghazal-KHwan munh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.