aankh jab aaine mein paDti hai
aañkh jab aa.ine meñ paḌtī hai
zindagī dekhne meñ paḌtī hai
roz kaTtī hai fasl ḳhushbū kī
aur tire tauliye meñ paḌtī hai
din kisī ma.arke meñ kaTtā hai
shab kisī morche meñ paḌtī hai
chhoḌ duniyā kī baat dil kī sun
chhoḌ kis vasvase meñ paḌtī hai
tū nahīñ hai to raat bhar bārish
jaane kis silsile meñ paḌtī hai
paañv ko laakh khīñchtā huuñ magar
vo galī rāste meñ paḌtī hai
gardish-e-vaqt terī aañkh ke is
pur-kashish dā.ere meñ paḌtī hai
ishq ke aur haiñ makān-o-zamāñ
umr ik sāniye meñ paḌtī hai
zindagī to vahāñ bhī hai 'ashraf'
barf jis mintaqe meñ paḌtī hai
aankh jab aaine mein paDti hai
zindagi dekhne mein paDti hai
roz kaTti hai fasl KHushbu ki
aur tere tauliye mein paDti hai
din kisi marke mein kaTta hai
shab kisi morche mein paDti hai
chhoD duniya ki baat dil ki sun
chhoD kis waswase mein paDti hai
tu nahin hai to raat bhar barish
jaane kis silsile mein paDti hai
panw ko lakh khinchta hun magar
wo gali raste mein paDti hai
gardish-e-waqt teri aankh ke is
pur-kashish daere mein paDti hai
ishq ke aur hain makan-o-zaman
umr ek saniye mein paDti hai
zindagi to wahan bhi hai 'ashraf'
barf jis mintaqe mein paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.