aankh jab barse to kya puchhna mausam kaisa
aañkh jab barse to kyā pūchhnā mausam kaisā
zaḳhm taqdīr meñ likkhā hai to marham kaisā
hādisa guzrā thā vo ek hī lamhe ke liye
zindagī phir ye batā roz kā mātam kaisā
ab na dīvār se shikva hai na saa.e kī talab
dhuup jab merā muqaddar hai to phir ġham kaisā
āsmāñ raat agar royā nahīñ hai to batā
barg-e-gul par hai bhalā qatra-e-shabnam kaisā
is se pahle nahīñ dekhī thī udāsī itnī
hai 'siyā' aaj ye māyūsī kā aalam kaisā
aankh jab barse to kya puchhna mausam kaisa
zaKHm taqdir mein likkha hai to marham kaisa
hadisa guzra tha wo ek hi lamhe ke liye
zindagi phir ye bata roz ka matam kaisa
ab na diwar se shikwa hai na sae ki talab
dhup jab mera muqaddar hai to phir gham kaisa
aasman raat agar roya nahin hai to bata
barg-e-gul par hai bhala qatra-e-shabnam kaisa
is se pahle nahin dekhi thi udasi itni
hai 'siya' aaj ye mayusi ka aalam kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.