aankh jab saqi pe Dali jaegi
aañkh jab saaqī pe Daalī jā.egī
phir tabī.at kyā sañbhālī jā.egī
chuTkiyāñ lene kī vo karte haiñ mashq
shoḳhiyoñ meñ jaan Daalī jā.egī
kyoñ pareshāñ kar rahī hai baaġh meñ
bū-e-gul tujh se sabā lī jā.egī
ham idhar haiñ sāmne hai aa.ina
aañkh kis kis par nikālī jā.egī
phuul kaise mar-miToñ kī qabr par
ḳhaak bhī tum se na Daalī jā.egī
dekhne hī ko hai bas saaqī kī aañkh
mai na is sāġhar meñ Daalī jā.egī
dam nikal jā.egā hasrat se mirā
teġh qātil kī jo ḳhālī jā.egī
dil agar TuuTā to phir be-kār hai
zulf bigḌegī banā lī jā.egī
kyoñ gale miltī nahīñ vo teġh-e-nāz
iid kyā ab kī bhī ḳhālī jā.egī
koī kahtā hai ki 'safdar' ye ġhazal
nuur ke sāñche meñ Dhālī jā.egī
aankh jab saqi pe Dali jaegi
phir tabiat kya sanbhaali jaegi
chuTkiyan lene ki wo karte hain mashq
shoKHiyon mein jaan Dali jaegi
kyon pareshan kar rahi hai bagh mein
bu-e-gul tujh se saba li jaegi
hum idhar hain samne hai aaina
aankh kis kis par nikali jaegi
phul kaise mar-miTon ki qabr par
KHak bhi tum se na Dali jaegi
dekhne hi ko hai bas saqi ki aankh
mai na is saghar mein Dali jaegi
dam nikal jaega hasrat se mera
tegh qatil ki jo KHali jaegi
dil agar TuTa to phir be-kar hai
zulf bigDegi bana li jaegi
kyon gale milti nahin wo tegh-e-naz
id kya ab ki bhi KHali jaegi
koi kahta hai ki 'safdar' ye ghazal
nur ke sanche mein Dhaali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.