aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto
aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto
Rashidullah Khan Jauhar
MORE BYRashidullah Khan Jauhar
aañkh jab tar na thī dil shikasta na thā zindagī meñ thī lazzat kahāñ dosto
vo to kahiye ki soz-e-jigar mil gayā ḳhūn-e-dil ho gayā nā-gahāñ dosto
tum to dīvāna Thahrā rahe the hameñ de rahe the nā dushnām-e-dīvāngī
tīrgī meñ charāġhāñ ye kis ne kiyā kis ne badlā chaman kā samāñ dosto
umr kaliyoñ kī kitnī jo batlā sakeñ kis ke ḳhūn-e-jigar se hai husn-e-chaman
ḳhāk-e-gulshan se pūchho bahāroñ meñ hai kis ke ḳhuuñ se ye gulkāriyāñ dosto
jab nasīm-e-sahar kī zabānī sunī merī rūdād-e-ġham sahn-e-gulzār meñ
zabt shabnam se aañsū na phir ho sake qalb-e-gul ho gayā ḳhūñ-chakāñ dosto
kis qadar ham ne khaa.e haiñ tīr-e-sitam gardish-e-vaqt ke kyā ginā.eñ karam
un kā dāman chhuTā ḳhūn-e-armāñ huā fasl-e-gul meñ jalā āshiyāñ dosto
kaise TuuTā hai dil kis ne toḌā hai dil sāneha kis tarah ye huā rūnumā
yuuñ na rah rah ke chheḌo ḳhudā ke liye mohtaram sāthiyo mehrbāñ dosto
chaak siine meñ apne bhī kuchh kam na the ham ne zaḳhmoñ kī lekin numā.ish na kī
ye alag baat hai misl-e-gul ham rahe gulsitāñ meñ tabassum-fashāñ dosto
jin se milne ko betāb rahte the ham un se ḳhalvat meñ sāmnā ho gayā
kis ne dekhā unheñ kaun un se milā aa ga.ī be-ḳhudī darmiyāñ dosto
baat kyā hai hameñ bhī to ho kuchh ḳhabar kyoñ vo ghar se nikaltā nahīñ āj-kal
zikr kis shaḳhs kā aaj ye chhiḌ gayā kaun 'jauhar' vo sheva-bayāñ dosto
aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto
wo to kahiye ki soz-e-jigar mil gaya KHun-e-dil ho gaya na-gahan dosto
tum to diwana Thahra rahe the hamein de rahe the na dushnam-e-diwangi
tirgi mein charaghan ye kis ne kiya kis ne badla chaman ka saman dosto
umr kaliyon ki kitni jo batla saken kis ke KHun-e-jigar se hai husn-e-chaman
KHak-e-gulshan se puchho bahaaron mein hai kis ke KHun se ye gulkariyan dosto
jab nasim-e-sahar ki zabani suni meri rudad-e-gham sahn-e-gulzar mein
zabt shabnam se aansu na phir ho sake qalb-e-gul ho gaya KHun-chakan dosto
kis qadar hum ne khae hain tir-e-sitam gardish-e-waqt ke kya ginaen karam
un ka daman chhuTa KHun-e-arman hua fasl-e-gul mein jala aashiyan dosto
kaise TuTa hai dil kis ne toDa hai dil saneha kis tarah ye hua runuma
yun na rah rah ke chheDo KHuda ke liye mohtaram sathiyo mehrban dosto
chaak sine mein apne bhi kuchh kam na the hum ne zaKHmon ki lekin numaish na ki
ye alag baat hai misl-e-gul hum rahe gulsitan mein tabassum-fashan dosto
jin se milne ko betab rahte the hum un se KHalwat mein samna ho gaya
kis ne dekha unhen kaun un se mila aa gai be-KHudi darmiyan dosto
baat kya hai hamein bhi to ho kuchh KHabar kyon wo ghar se nikalta nahin aaj-kal
zikr kis shaKHs ka aaj ye chhiD gaya kaun 'jauhar' wo shewa-bayan dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.