aankh kahti hai hamein ab ashk-bari chhoD den
aankh kahti hai hamein ab ashk-bari chhoD den
Mannan Qdeer Mannan
MORE BYMannan Qdeer Mannan
aañkh kahtī hai hameñ ab ashk-bārī chhoḌ deñ
āñsuoñ se dil kī kaise ābyārī chhoḌ deñ
hai muqaddar par yaqīñ ham ko rahe itnā ḳhayāl
ḳhaak hai qismat to kaise ḳhāksārī chhoḌ deñ
bad-lihāzī jis qadar merī tabī'at meñ hai dost
ye bhī mumkin hai mujhe sab baarī baarī chhoḌ deñ
dosto karnā paḌegā ab hameñ ye faisla
duniyā-dārī chhoḌ deñ yā inkisārī chhoḌ deñ
ho rahī hai dosto tum ko ġhalat-fahmī koī
kaise mumkin hai parinde ko shikārī chhoḌ deñ
'ishq ko matlūb haiñ be-chainiyāñ jazbāt kī
zindagī kahtī hai ham ko be-qarārī chhoḌ deñ
duur rah kar aadmī bechain rahtā hai zarūr
aap mere hijr kī manzar-nigārī chhoḌ deñ
dostoñ aur dushmanoñ kā 'ilm honā chāhiye
kis liye 'mannān' ham rā.e-shumārī chhoḌ deñ
aankh kahti hai hamein ab ashk-bari chhoD den
aansuon se dil ki kaise aabyari chhoD den
hai muqaddar par yaqin hum ko rahe itna KHayal
KHak hai qismat to kaise KHaksari chhoD den
bad-lihazi jis qadar meri tabi'at mein hai dost
ye bhi mumkin hai mujhe sab bari bari chhoD den
dosto karna paDega ab hamein ye faisla
duniya-dari chhoD den ya inkisari chhoD den
ho rahi hai dosto tum ko ghalat-fahmi koi
kaise mumkin hai parinde ko shikari chhoD den
'ishq ko matlub hain be-chainiyan jazbaat ki
zindagi kahti hai hum ko be-qarari chhoD den
dur rah kar aadmi bechain rahta hai zarur
aap mere hijr ki manzar-nigari chhoD den
doston aur dushmanon ka 'ilm hona chahiye
kis liye 'mannan' hum rae-shumari chhoD den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.