aankh ke parde ke pichhe ek saman rah jaega
aañkh ke parde ke pīchhe ik samāñ rah jā.egā
aag ke sho.ale bujhe tab bhī dhuāñ rah jā.egā
kyā ajab kal phir yaqīñ meñ shak kī āmezish mile
shak agar miT bhī gayā phir bhī gumāñ rah jā.egā
sirf hone ko fanā hai jo nahīñ us kī baqā
āsmāñ kuchh bhī nahīñ hai āsmāñ rah jā.egā
terī qurbat se hasīñ mausam bhī hai ḳhushbū bhī hai
qurbateñ gar na raheñ phir kyā yahāñ rah jā.egā
tujh se milne kī masarrat aur bichhaḌne kā malāl
hai masarrat aarzī soz-e-nihāñ rah jā.egā
jism ik ḳhālī makāñ thā aaj se ābād hai
ruuh jab uḌ jā.egī makāñ rah jā.egā
log kahte haiñ hisāb-e-dostāñ dar-dil shivad
aaj 'mirzā' ye maqūla bhī kahāñ rah jā.egā
aankh ke parde ke pichhe ek saman rah jaega
aag ke shoale bujhe tab bhi dhuan rah jaega
kya ajab kal phir yaqin mein shak ki aamezish mile
shak agar miT bhi gaya phir bhi guman rah jaega
sirf hone ko fana hai jo nahin us ki baqa
aasman kuchh bhi nahin hai aasman rah jaega
teri qurbat se hasin mausam bhi hai KHushbu bhi hai
qurbaten gar na rahen phir kya yahan rah jaega
tujh se milne ki masarrat aur bichhaDne ka malal
hai masarrat aarzi soz-e-nihan rah jaega
jism ek KHali makan tha aaj se aabaad hai
ruh jab uD jaegi makan rah jaega
log kahte hain hisab-e-dostan dar-dil shiwad
aaj 'mirza' ye maqula bhi kahan rah jaega
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 224)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.