aankh KHamosh nazar Khaali hai
aañkh ḳhāmosh nazar ḳhālī hai
dard kī rāh-guzar ḳhālī hai
raushnī samt badalne ko hai
arsa-e-shams-o-qamar ḳhālī hai
haañ mulāqāt kī saa.at hai yahī
vaqt kā pichhlā pahar ḳhālī hai
aarzū dil meñ nahīñ hai koī
ek muddat se ye ghar ḳhālī hai
uThte jaate haiñ ḳharīdār-e-junūñ
kīsa-e-sher o asar ḳhālī hai
ab kisī dil meñ nahīñ shauq-e-safar
jāda-e-shahr-e-hunar ḳhālī hai
din guzartā nazar aatā hī nahīñ
rang-e-imkāñ se sahar ḳhālī hai
sirf dil hī nahīñ sunsān 'ziyā'
ravish-e-jāñ bhī idhar ḳhālī hai
aankh KHamosh nazar KHali hai
dard ki rah-guzar KHali hai
raushni samt badalne ko hai
arsa-e-shams-o-qamar KHali hai
han mulaqat ki saat hai yahi
waqt ka pichhla pahar KHali hai
aarzu dil mein nahin hai koi
ek muddat se ye ghar KHali hai
uThte jate hain KHaridar-e-junun
kisa-e-sher o asar KHali hai
ab kisi dil mein nahin shauq-e-safar
jada-e-shahr-e-hunar KHali hai
din guzarta nazar aata hi nahin
rang-e-imkan se sahar KHali hai
sirf dil hi nahin sunsan 'ziya'
rawish-e-jaan bhi idhar KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.