aankh ki jhil mein kohram se aae hue hain
aañkh kī jhiil meñ kohrām se aa.e hue haiñ
chāñd Dhalne ko hai aur shaam se aa.e hue haiñ
chūḌiyoñ aur parindoñ ke nahīñ haiñ gāhak
ham to maile meñ kisī kaam se aa.e hue haiñ
terī tasvīr to kamre meñ hai yādoñ kā gulāb
zard patte to dar-o-bām se aa.e hue haiñ
bas ke stand pe Theloñ ko sajā.e hue log
ḳhud kisī kūcha-e-nīlām se aa.e hue haiñ
itnā kirdār hai nauTañgī meñ apnā jaise
dhuup meñ mom ke andām se aa.e hue haiñ
aankh ki jhil mein kohram se aae hue hain
chand Dhalne ko hai aur sham se aae hue hain
chuDiyon aur parindon ke nahin hain gahak
hum to maile mein kisi kaam se aae hue hain
teri taswir to kamre mein hai yaadon ka gulab
zard patte to dar-o-baam se aae hue hain
bas ke stand pe Thelon ko sajae hue log
KHud kisi kucha-e-nilam se aae hue hain
itna kirdar hai nauTangi mein apna jaise
dhup mein mom ke andam se aae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.