aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre
aañkh kī raah se bujhte hue lamhe utre
aqrabā jitne the kashtī ke vo saare utre
us se kahte ho ki phir lauTnā hogā chhat par
saañs kī lai ko jo thāme hue ziine utre
chhā ga.ī bachchoñ ke chehre pe na.ī hariyālī
aaj phir peḌoñ se āñgan meñ parinde utre
log sāhil pe tamāshā.ī bane baiThe rahe
biich dariyā meñ faqat ham hī akele utre
chīḳh niklī na koī āh-o-fuġhāñ kī maiñ ne
yuuñ to siine meñ ka.ī tiir nukīle utre
aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre
aqraba jitne the kashti ke wo sare utre
us se kahte ho ki phir lauTna hoga chhat par
sans ki lai ko jo thame hue zine utre
chha gai bachchon ke chehre pe nai hariyali
aaj phir peDon se aangan mein parinde utre
log sahil pe tamashai bane baiThe rahe
bich dariya mein faqat hum hi akele utre
chiKH nikli na koi aah-o-fughan ki main ne
yun to sine mein kai tir nukile utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.