aankh kis be-wafa se laDi hai
aañkh kis be-vafā se laḌī hai
zindagī kashmakash meñ paḌī hai
haal dil kā maiñ kyūñkar sunā.ūñ
raat chhoTī kahānī baḌī hai
dard kā dil meñ rah-rah ke uThnā
qissa-e-ġham kī pahlī kaḌī hai
aa rahe haiñ vo bahr-e-'ayādat
aur idhar maut sar par khaḌī hai
kuchh dikhā jauhar-e-'ishq ai dil
sāmne imtihāñ kī ghaḌī hai
muḳhtasar kar lo afsāna-e-ġham
zindagī bas ghaḌī-do-ghaḌī hai
merī nazroñ ko taḌpā rahī hai
un ke dar par jo chilman paḌī hai
soch kar ai habīb aage baḌhnā
manzil-e-'ishq behad kaḌī hai
aankh kis be-wafa se laDi hai
zindagi kashmakash mein paDi hai
haal dil ka main kyunkar sunaun
raat chhoTi kahani baDi hai
dard ka dil mein rah-rah ke uThna
qissa-e-gham ki pahli kaDi hai
aa rahe hain wo bahr-e-'ayaadat
aur idhar maut sar par khaDi hai
kuchh dikha jauhar-e-'ishq ai dil
samne imtihan ki ghaDi hai
muKHtasar kar lo afsana-e-gham
zindagi bas ghaDi-do-ghaDi hai
meri nazron ko taDpa rahi hai
un ke dar par jo chilman paDi hai
soch kar ai habib aage baDhna
manzil-e-'ishq behad kaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.