aankh ko dhoka diya aaKHir meri raftar ne
aañkh ko dhoka diyā āḳhir mirī raftār ne
aur jā kar toḌ Daalā surḳh signal car ne
chaar pal ke ik paḌāv ne mirī taqsīm kī
jism khīñchā manziloñ ne dil sarā-e-dār ne
maiñ khaḌā huuñ to barābar meñ khaḌe haiñ sab mire
gir paḌūñ to har koī dauḌegā mujh ko mārne
muskurā kar khīñch lete haiñ koī tasvīr ham
is se baḌh kar kyā diyā hai ab kisī tehvār ne
vaqt kī sīḌhī pe chaḌh kar dekhnā hai us taraf
kyoñ mirī bīnā.ī ko rokā hai us dīvār ne
bin tire sab Thiik hai lekin mujhe is shahr meñ
lag ga.e haiñ aise vaise log bhī dhutkārne
zindagī dar-asl 'rāshid' do ghaḌī kā khel hai
kab jahāñ ko chhoḌnā chāhā kisī kirdār ne
aankh ko dhoka diya aaKHir meri raftar ne
aur ja kar toD Dala surKH signal car ne
chaar pal ke ek paDaw ne meri taqsim ki
jism khincha manzilon ne dil sara-e-dar ne
main khaDa hun to barabar mein khaDe hain sab mere
gir paDun to har koi dauDega mujh ko marne
muskura kar khinch lete hain koi taswir hum
is se baDh kar kya diya hai ab kisi tehwar ne
waqt ki siDhi pe chaDh kar dekhna hai us taraf
kyon meri binai ko roka hai us diwar ne
bin tere sab Thik hai lekin mujhe is shahr mein
lag gae hain aise waise log bhi dhutkarne
zindagi dar-asl 'rashid' do ghaDi ka khel hai
kab jahan ko chhoDna chaha kisi kirdar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.