aankh kya gham mein tere nam si hui jati hai
aañkh kyā ġham meñ tire nam sī huī jaatī hai
zindagī sho.ala thī shabnam sī huī jaatī hai
badle badle vo nazar aane lage haiñ jab se
un ko paane kī talab kam sī huī jaatī hai
kyā mohabbat hai yahī jab se tujhe dekhā hai
ik ḳhalish siine meñ paiham sī huī jaatī hai
jab se is dil ko ġham-e-yār milā hai yaaro
zindagī aur bhī mohkam sī huī jaatī hai
aaj phir dil ne liyā hai tirī yādoñ kā asar
aaj phir aañkh mirī nam sī huī jaatī hai
mere hāthoñ ne sikhāyā thā sañvarnā jis ko
aaj vo zulf bhī barham sī huī jaatī hai
jab se vo mere tasavvur meñ lage haiñ aane
merī har shaam shab-e-ġham sī huī jaatī hai
jab se ulfat kā asar hone lagā hai us par
us kī hālat bhī 'zafar' ham sī huī jaatī hai
aankh kya gham mein tere nam si hui jati hai
zindagi shoala thi shabnam si hui jati hai
badle badle wo nazar aane lage hain jab se
un ko pane ki talab kam si hui jati hai
kya mohabbat hai yahi jab se tujhe dekha hai
ek KHalish sine mein paiham si hui jati hai
jab se is dil ko gham-e-yar mila hai yaro
zindagi aur bhi mohkam si hui jati hai
aaj phir dil ne liya hai teri yaadon ka asar
aaj phir aankh meri nam si hui jati hai
mere hathon ne sikhaya tha sanwarna jis ko
aaj wo zulf bhi barham si hui jati hai
jab se wo mere tasawwur mein lage hain aane
meri har sham shab-e-gham si hui jati hai
jab se ulfat ka asar hone laga hai us par
us ki haalat bhi 'zafar' hum si hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.