Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh kyon apni mal rahe ho tum

Ameer Hamza Aazmi

aankh kyon apni mal rahe ho tum

Ameer Hamza Aazmi

MORE BYAmeer Hamza Aazmi

    aañkh kyoñ apnī mal rahe ho tum

    ho ke patthar pighal rahe ho tum

    aarzū ban ke dil meñ utre the

    ban ke aañsū nikal rahe ho tum

    chhoḌte kyoñ nahīñ ho buġhz-o-hasad

    kyoñ jahannum meñ jal rahe ho tum

    kyā koī yaad aa rahā hai tumheñ

    karvaTeñ kyoñ badal rahe ho tum

    mere bhaa.ī ho aur mere ḳhilāf

    zahr kitnā ugal rahe ho tum

    vo khilaunā to mil chukā hai tumheñ

    jis ḳhātir machal rahe ho tum

    maañ pyāsī paḌī hai bistar par

    luqma-e-tar nigal rahe ho tum

    aaj ye iltifāt 'hamza' par

    lag rahā hai phisal rahe ho tum

    aankh kyon apni mal rahe ho tum

    ho ke patthar pighal rahe ho tum

    aarzu ban ke dil mein utre the

    ban ke aansu nikal rahe ho tum

    chhoDte kyon nahin ho bughz-o-hasad

    kyon jahannum mein jal rahe ho tum

    kya koi yaad aa raha hai tumhein

    karwaTen kyon badal rahe ho tum

    mere bhai ho aur mere KHilaf

    zahr kitna ugal rahe ho tum

    wo khilauna to mil chuka hai tumhein

    jis ki KHatir machal rahe ho tum

    man pyasi paDi hai bistar par

    luqma-e-tar nigal rahe ho tum

    aaj ye iltifat 'hamza' par

    lag raha hai phisal rahe ho tum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now