aankh mein aansu nazar mein dard paida kar gaya
aañkh meñ aañsū nazar meñ dard paidā kar gayā
merā hañsne kā irāda kyā ġhazab Dhā kar gayā
maiñ ne barsātoñ meñ jalte ghar kabhī dekhe na the
maiñ isī bā'is tire ġham ko gavārā kar gayā
merī koshish thī muqaddar ko na.ī jihateñ milīñ
aur isī koshish meñ ḳhud ko be-sar-o-pā kar gayā
ḳhush-yaqīnī bhī khilā detī hai kaise kaise gul
ek din vallāh maiñ ḳhud par bharosā kar gayā
baat usūloñ kī nahīñ hai baat kuchh qadroñ kī hai
ḳhvāb jhūTe the magar maiñ un ko sachchā kar gayā
bas yahī sūrat chhupāne kī inheñ niklī ki maiñ
har kisī ke sāmne zaḳhmoñ ko nangā kar gayā
muddatoñ merī hayāt ummīd kā mehvar rahī
phir koī shaḳhs aa ke 'hairat' sab kuchh ulTā kar gayā
aankh mein aansu nazar mein dard paida kar gaya
mera hansne ka irada kya ghazab Dha kar gaya
main ne barsaton mein jalte ghar kabhi dekhe na the
main isi ba'is tere gham ko gawara kar gaya
meri koshish thi muqaddar ko nai jihaten milin
aur isi koshish mein KHud ko be-sar-o-pa kar gaya
KHush-yaqini bhi khila deti hai kaise kaise gul
ek din wallah main KHud par bharosa kar gaya
baat usulon ki nahin hai baat kuchh qadron ki hai
KHwab jhuTe the magar main un ko sachcha kar gaya
bas yahi surat chhupane ki inhen nikli ki main
har kisi ke samne zaKHmon ko nanga kar gaya
muddaton meri hayat ummid ka mehwar rahi
phir koi shaKHs aa ke 'hairat' sab kuchh ulTa kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.