aankh mein abr ki manind umaDte kyon ho
aañkh meñ abr kī mānind umaḌte kyoñ ho
ashk ban kar mirī palkoñ se bichhaḌte kyoñ ho
aañkh meñ un kī utarnā koī āsān nahīñ
Duub jāoge samundar se akaḌte kyoñ ho
kuchh to maalī ke bharose kī bhī tāzīm karo
amn kā baaġh raho roz ujaḌte kyoñ ho
saañs meñ apnī basāo unheñ mahsūs karo
haath se apne havāoñ ko pakaḌte kyoñ ho
baat achchhī hai to ḳhushbū kī tarah phailāo
apne mahdūd ḳhayāloñ meñ sukaḌte kyoñ ho
aao batlā.eñge 'sājid' ye haqīqat sab ko
ham sabhī bhaa.ī haiñ aapas meñ jhagaḌte kyoñ ho
aankh mein abr ki manind umaDte kyon ho
ashk ban kar meri palkon se bichhaDte kyon ho
aankh mein un ki utarna koi aasan nahin
Dub jaoge samundar se akaDte kyon ho
kuchh to mali ke bharose ki bhi tazim karo
amn ka bagh raho roz ujaDte kyon ho
sans mein apni basao unhen mahsus karo
hath se apne hawaon ko pakaDte kyon ho
baat achchhi hai to KHushbu ki tarah phailao
apne mahdud KHayalon mein sukaDte kyon ho
aao batlaenge 'sajid' ye haqiqat sab ko
hum sabhi bhai hain aapas mein jhagaDte kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.