aankh mein ashk ka jis tarh sitara chamke
aañkh meñ ashk kā jis tarh sitāra chamke
kaash us tarh muqaddar bhī hamārā chamke
koī hasrat koī ḳhvāhish na adhūrī rah jaa.e
ḳhvāb chamke jo agar saare kā saarā chamke
bujh ga.e jo bhī diye vaqt kī is āñdhī meñ
un kī qismat kā sitāra bhī dubāra chamke
daaġh jitne bhī mile tum se mujhe ulfat meñ
hai du'ā merī vo har daaġh tumhārā chamke
vo ho gulshan meñ to gulshan kī fazā raushan ho
vo ho manzar meñ to har ek nazāra chamke
zindagī tū ne diye sirf ḳhasāre ham ko
ham ḳhasāroñ kā magar le ke sahārā chamke
aañkh aise hī nahīñ hotī hai nam har lahza
us ne chāhā thā ki dariyā kā kināra chamke
muntazir huuñ maiñ kisī roz du'āoñ ke 'evaz
mere dāman meñ bhī qudrat kā ishāra chamke
aankh mein ashk ka jis tarh sitara chamke
kash us tarh muqaddar bhi hamara chamke
koi hasrat koi KHwahish na adhuri rah jae
KHwab chamke jo agar sare ka sara chamke
bujh gae jo bhi diye waqt ki is aandhi mein
un ki qismat ka sitara bhi dubara chamke
dagh jitne bhi mile tum se mujhe ulfat mein
hai du'a meri wo har dagh tumhaara chamke
wo ho gulshan mein to gulshan ki faza raushan ho
wo ho manzar mein to har ek nazara chamke
zindagi tu ne diye sirf KHasare hum ko
hum KHasaron ka magar le ke sahaara chamke
aankh aise hi nahin hoti hai nam har lahza
us ne chaha tha ki dariya ka kinara chamke
muntazir hun main kisi roz du'aon ke 'ewaz
mere daman mein bhi qudrat ka ishaara chamke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.