aankh mein bhige sitaron ki farawani mili
aañkh meñ bhīge sitāroñ kī farāvānī milī
ham ne phir ishq kiyā aur pashemānī milī
dil ne kyā paayā mohabbat meñ ba-juz dard-e-firāq
ruuh ko zaḳhm milā zaḳhm ko tābānī milī
ek manzar ne palaT kar sar-e-manzar dekhā
mujh ko hairānī tujhe ā.ina-sāmānī milī
raat ik sajda-e-hairān jahāñ rakkhā thā
sub.h vaañ dard se phaTtī huī peshānī milī
bah ga.ī thī jo kabhī sail-e-jamāl-e-kun meñ
mauj-dar-mauj usī chashm kī hairānī milī
vo jise tark kiyā tū ne ta'alluq kī tarah
ham ko us hijr ke badle meñ ġhazal-ḳhvānī milī
aankh mein bhige sitaron ki farawani mili
hum ne phir ishq kiya aur pashemani mili
dil ne kya paya mohabbat mein ba-juz dard-e-firaq
ruh ko zaKHm mila zaKHm ko tabani mili
ek manzar ne palaT kar sar-e-manzar dekha
mujh ko hairani tujhe aaina-samani mili
raat ek sajda-e-hairan jahan rakkha tha
subh wan dard se phaTti hui peshani mili
bah gai thi jo kabhi sail-e-jamal-e-kun mein
mauj-dar-mauj usi chashm ki hairani mili
wo jise tark kiya tu ne ta'alluq ki tarah
hum ko us hijr ke badle mein ghazal-KHwani mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.