aankh mein chand raha KHwab ki KHalwat wala
aañkh meñ chāñd rahā ḳhvāb kī ḳhalvat vaalā
duur ik taarā chamaktā thā sharārat vaalā
chhāñv meñ baiThne vaale hī jaḌeñ kaaT ga.e
dhuup meñ suukh gayā peḌ mohabbat vaalā
tere chehre ke badalte hue rangoñ se khulā
dil meñ darvāza na.e daur kī hairat vaalā
raushnī bhar ga.e har saañs meñ lafzoñ ke charāġh
kyā karishma thā vo ḳhat shoḳh ibārat vaalā
aaj dekhā hai parindoñ ko chahakte 'āmir'
yaad aaya hai vo ḳhush-bāsh tabī.at vaalā
aankh mein chand raha KHwab ki KHalwat wala
dur ek tara chamakta tha shararat wala
chhanw mein baiThne wale hi jaDen kaT gae
dhup mein sukh gaya peD mohabbat wala
tere chehre ke badalte hue rangon se khula
dil mein darwaza nae daur ki hairat wala
raushni bhar gae har sans mein lafzon ke charagh
kya karishma tha wo KHat shoKH ibarat wala
aaj dekha hai parindon ko chahakte 'amir'
yaad aaya hai wo KHush-bash tabiat wala
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 125)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.