aankh mein nindon ke Dere panw mein jamid hawas
aañkh meñ nīñdoñ ke Dere paañv meñ jāmid havas
jaan meñ har-sū ḳhamoshī jī ko uljhan kuchh nahīñ
nai giraftārī meñ lazzat nai ravānī meñ maza
ik sukūñ sabza-zada sāñsoñ meñ phislan kuchh nahīñ
yā samāñ sākit huā yā phir basīrat kho ga.ī
shor saḌkoñ par nahīñ rangoñ meñ ban-Than kuchh nahīñ
valvala bādal meñ mafqūd aur chādar hai havā
Tiin par girtī huī būñdoñ meñ dhaḌkan kuchh nahīñ
nai sutūnoñ kā sahārā aur na chhat kā hausla
ik makāñ aisā milā dīvār āñgan kuchh nahīñ
āsmāñ be-sāñs hai sahrā sukūt-e-sāz hai
ek arsa ho gayā ab zeb-e-dāman kuchh nahīñ
aankh mein nindon ke Dere panw mein jamid hawas
jaan mein har-su KHamoshi ji ko uljhan kuchh nahin
nai giraftari mein lazzat nai rawani mein maza
ek sukun sabza-zada sanson mein phislan kuchh nahin
ya saman sakit hua ya phir basirat kho gai
shor saDkon par nahin rangon mein ban-Than kuchh nahin
walwala baadal mein mafqud aur chadar hai hawa
Tin par girti hui bundon mein dhaDkan kuchh nahin
nai sutunon ka sahaara aur na chhat ka hausla
ek makan aisa mila diwar aangan kuchh nahin
aasman be-sans hai sahra sukut-e-saz hai
ek arsa ho gaya ab zeb-e-daman kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.