aankh nam hai na dil figar apna
aañkh nam hai na dil figār apnā
uTh gayā ḳhud se e.atibār apnā
zikr hotā hai baar baar apnā
TūTtā hī nahīñ ḳhumār apnā
dekhnā chāhte ho yaar apnā
toḌiye pahle ye hisār apnā
yaad karte rahe tujhe jab tak
vaqt guzrā hai ḳhush-gavār apnā
de diyā ham ne apne hāthoñ se
ġhair ke bas meñ iḳhtiyār apnā
har tunuk-tāb par machal jaa.e
itnā arzāñ nahīñ hai pyaar apnā
be-ḳhabar ho gayā vahī ham se
jis ko rahtā thā intizār apnā
hai yahī aarzū mire mālik
hashr meñ tū mujhe pukār apnā
aankh nam hai na dil figar apna
uTh gaya KHud se eatibar apna
zikr hota hai bar bar apna
TuTta hi nahin KHumar apna
dekhna chahte ho yar apna
toDiye pahle ye hisar apna
yaad karte rahe tujhe jab tak
waqt guzra hai KHush-gawar apna
de diya hum ne apne hathon se
ghair ke bas mein iKHtiyar apna
har tunuk-tab par machal jae
itna arzan nahin hai pyar apna
be-KHabar ho gaya wahi hum se
jis ko rahta tha intizar apna
hai yahi aarzu mere malik
hashr mein tu mujhe pukar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.