aankh ne phir azab dekha hai
aañkh ne phir azaab dekhā hai
ek taaza gulāb dekhā hai
niiñd rātoñ ko ab nahīñ aatī
ḳhvāb aisā ḳharāb dekhā hai
saañs lenā bhī ho gayā mushkil
jab se āñkhoñ ne ḳhvāb dekhā hai
jaane kaise nashe meñ hai dil bhī
aaj us ne sharāb dekhā hai
zaḳhm bhī phuul jaise haiñ 'raḳhshāñ'
zaḳhm to be-hisāb dekhā hai
aankh ne phir azab dekha hai
ek taza gulab dekha hai
nind raaton ko ab nahin aati
KHwab aisa KHarab dekha hai
sans lena bhi ho gaya mushkil
jab se aankhon ne KHwab dekha hai
jaane kaise nashe mein hai dil bhi
aaj us ne sharab dekha hai
zaKHm bhi phul jaise hain 'raKHshan'
zaKHm to be-hisab dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.