aankh paD jae agar paikar-e-ranai par
aañkh paḌ jaa.e agar paikar-e-rānā.ī par
ik qayāmat sī guzar jā.egī bīnā.ī par
merā da.avā hai mirā zaḳhm nahīñ bhar saktā
shahr ke shahr utar aa.eñ masīhā.ī par
chaak kartī hai nadāmat kī anī siine ko
ġhaiz meñ haath uThāyā thā baḌe bhaa.ī par
putliyāñ kar na sakīñ jism-e-tavāf-e-jānāñ
dil fidā ho bhī gayā zulf kī añgḌā.ī par
aap ik ret kā ambār nazar ā.eñge
gar mahārat hī nahīñ quvvat-e-goyā.ī par
ek dīvān ke sāñche meñ tujhe Dhālūñgā
ek dīvān likhūñgā tire shaidā.ī par
asr-e-āshūr ik āvāz uThī maqtal se
tabsira log kareñge mirī tanhā.ī par
maiñ koī yūsuf-e-kan.ān nahīñ 'mehvar' huuñ
hosh meñ aao na kaT jaa.eñ zuleḳhā.ī par
aankh paD jae agar paikar-e-ranai par
ek qayamat si guzar jaegi binai par
mera dawa hai mera zaKHm nahin bhar sakta
shahr ke shahr utar aaen masihai par
chaak karti hai nadamat ki ani sine ko
ghaiz mein hath uThaya tha baDe bhai par
putliyan kar na sakin jism-e-tawaf-e-jaanan
dil fida ho bhi gaya zulf ki angDai par
aap ek ret ka ambar nazar aaenge
gar mahaarat hi nahin quwwat-e-goyai par
ek diwan ke sanche mein tujhe Dhaalunga
ek diwan likhunga tere shaidai par
asr-e-ashur ek aawaz uThi maqtal se
tabsira log karenge meri tanhai par
main koi yusuf-e-kanan nahin 'mehwar' hun
hosh mein aao na kaT jaen zuleKHai par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.