aankh rakkhe hue sitare par
aañkh rakkhe hue sitāre par
kashtiyāñ jā lagīñ kināre par
vaqt paḌne pe aazmā lenā
jaan de deñge ik ishāre par
moḌ par us ne muḌ ke dekhā thā
jī rahe haiñ isī sahāre par
jhiil āñkhoñ meñ surmagīñ aañsū
chāñd be-ḳhud thā is nazāre par
lab-o-ruḳhsār ātishīñ us ke
shabnamī raqs thā sharāre par
oT meñ phir chhapā liyā maañ ne
laash maañ kī girī dulāre par
shahr saarā chhatoñ pe thā 'bābar'
chāñd utrā thā phir chaubāre par
aankh rakkhe hue sitare par
kashtiyan ja lagin kinare par
waqt paDne pe aazma lena
jaan de denge ek ishaare par
moD par us ne muD ke dekha tha
ji rahe hain isi sahaare par
jhil aankhon mein surmagin aansu
chand be-KHud tha is nazare par
lab-o-ruKHsar aatishin us ke
shabnami raqs tha sharare par
oT mein phir chhapa liya man ne
lash man ki giri dulare par
shahr sara chhaton pe tha 'babar'
chand utra tha phir chaubare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.