aankh ro-ro ke maine gili ki
aañkh ro-ro ke maiñ ne giilī kī
har ġhazal tab kahīñ surīlī kī
us kī āñkhoñ meñ ġhair dekhā to
maiñ ne apnī pakaḌ bhī Dhīlī kī
us ne itnā hī zahr uglā hai
us ne jitnī zabāñ rasīlī kī
aaj ḳhud ko isī pe chalnā hai
maiñ ne jo raah ḳhud kaTīlī kī
zahr kuchh kam nahīñ piyā maiñ ne
zindagī jā ke tab nashīlī kī
aag sulgā ke ḳhud bhī bach jaa.e
aisī qismat nahīñ hai tiilī kī
aankh ro-ro ke main ne gili ki
har ghazal tab kahin surili ki
us ki aankhon mein ghair dekha to
main ne apni pakaD bhi Dhili ki
us ne itna hi zahr ugla hai
us ne jitni zaban rasili ki
aaj KHud ko isi pe chalna hai
main ne jo rah KHud kaTili ki
zahr kuchh kam nahin piya main ne
zindagi ja ke tab nashili ki
aag sulga ke KHud bhi bach jae
aisi qismat nahin hai tili ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.