aankh se aansu na utre ek KHala baqi rahe
aañkh se aañsū na utre ik ḳhalā baaqī rahe
ḳhud se ḳhud ko joḌne kā silsila baaqī rahe
dukh kī tārīkī meñ paiham ik diyā jaltā rahe
niiñd bhī aa jaa.e lekin ratjagā baaqī rahe
maiñ guzartā kis tarah us moḌ par Thahre baġhair
jis kī ḳhātir zindagī kā silsila baaqī rahe
chāhtā huuñ chāhatoñ meñ maiñ kuchh aise silsile
vo mujhe mil jaa.e lekin fāsla baaqī rahe
ab sulagte āñsuoñ se hī chamak paidā kareñ
kuchh to apnā raushnī se rābta baaqī rahe
aankh se aansu na utre ek KHala baqi rahe
KHud se KHud ko joDne ka silsila baqi rahe
dukh ki tariki mein paiham ek diya jalta rahe
nind bhi aa jae lekin ratjaga baqi rahe
main guzarta kis tarah us moD par Thahre baghair
jis ki KHatir zindagi ka silsila baqi rahe
chahta hun chahaton mein main kuchh aise silsile
wo mujhe mil jae lekin fasla baqi rahe
ab sulagte aansuon se hi chamak paida karen
kuchh to apna raushni se rabta baqi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.