aankh se aise nazare gir paDe
aañkh se aise nazāre gir paḌe
āsmāñ se juuñ sitāre gir paḌe
kis ko aanā thā jo aa.egā yahāñ
ham bhalā kis ke sahāre gir paḌe
māñgne vāloñ ne māñgā is qadar
haath ham donoñ pasāre gir paḌe
hosh meñ aane ko hai ab mai-kada
laḌkhaḌā kar rind saare gir paḌe
aur phir ūñchī 'imārat ke sabab
bhurbhurā kar ham hamāre gir paḌe
gir paḌe haiñ aaj ham us kī tarah
juuñ sipāhī jang haare gir paḌe
aankh se aise nazare gir paDe
aasman se jun sitare gir paDe
kis ko aana tha jo aaega yahan
hum bhala kis ke sahaare gir paDe
mangne walon ne manga is qadar
hath hum donon pasare gir paDe
hosh mein aane ko hai ab mai-kada
laDkhaDa kar rind sare gir paDe
aur phir unchi 'imarat ke sabab
bhurbhura kar hum hamare gir paDe
gir paDe hain aaj hum us ki tarah
jun sipahi jang haare gir paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.