aankh se ashk kyon bahen charKH pe jae aah kyon
aañkh se ashk kyoñ baheñ charḳh pe jaa.e aah kyoñ
faash kare jo rāz-e-dil vo ho mirī nigāh kyoñ
kaisī masal ġhalat hai ye dil ko ho dil se raah kyoñ
tum pe zamāna shefta tum ko kisī se chaah kyoñ
jo ho muqayyad-e-adā terā vo qaul kis liye
jis meñ jagah kī qaid ho terī vo jalva-gāh kyoñ
ġhair ne bad-gumāñ kiyā maiñ ne ġhalat kahā bajā
merā hī dil sahī magar merā vo ḳhair-ḳhvāh kyoñ
qābil-e-bāz-purs haiñ merī hī saḳht-jāniyāñ
haa.e ye maurid-e-itāb ḳhanjar-e-be-gunāh kyoñ
saarī ḳhudā.ī ke liye jabki vo bazm aam hai
mujh pe hai pāsbān-e-dard dīda-e-intibāh kyoñ
koī alam agar nahīñ phir ye 'munīr' kis liye
aañkh meñ ashk dil pe haath lab pe ye aah aah kyoñ
aankh se ashk kyon bahen charKH pe jae aah kyon
fash kare jo raaz-e-dil wo ho meri nigah kyon
kaisi masal ghalat hai ye dil ko ho dil se rah kyon
tum pe zamana shefta tum ko kisi se chah kyon
jo ho muqayyad-e-ada tera wo qaul kis liye
jis mein jagah ki qaid ho teri wo jalwa-gah kyon
ghair ne bad-guman kiya main ne ghalat kaha baja
mera hi dil sahi magar mera wo KHair-KHwah kyon
qabil-e-baz-purs hain meri hi saKHt-jaaniyan
hae ye maurid-e-itab KHanjar-e-be-gunah kyon
sari KHudai ke liye jabki wo bazm aam hai
mujh pe hai pasban-e-dard dida-e-intibah kyon
koi alam agar nahin phir ye 'munir' kis liye
aankh mein ashk dil pe hath lab pe ye aah aah kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.