aankh se is fikr mein hota nahin pani juda
aañkh se is fikr meñ hotā nahīñ paanī judā
ek din ho jā.egī mujh se mirī beTī judā
maujib-e-furqat vahāñ bhī dāna-e-gandum hī thā
aur aksar yaañ bhī ham ko kartī hai roTī judā
vādī-e-dil tak nazar aa.egī ik chhoTī lakīr
kar rahe ho aañkh se tum jis tarah paanī judā
bād-o-bārāñ ne bhī us se dil-lagī kyā ḳhuub kī
jo uḌā kar le ga.iiñ chhatrī judā chunarī judā
ḳhvāhishoñ par phir musallat ho ga.e duniyā ke ġham
ho rahā hai dil se dhīre dhīre phir koī judā
der se miltā hai jo rishtoñ ke mele meñ hameñ
jaane ho jaatā hai kyoñ ham se vahī jaldī judā
uḌ ga.iiñ murġhābiyāñ par us taraf baiThe hue
ek laḌke ko sabhī se kar ga.ī golī judā
barhamī rishtoñ kī shādī ke dinoñ meñ aam hai
jo bhī kar lo paañv se hotī nahīñ pagḌī judā
aankh se is fikr mein hota nahin pani juda
ek din ho jaegi mujh se meri beTi juda
maujib-e-furqat wahan bhi dana-e-gandum hi tha
aur aksar yan bhi hum ko karti hai roTi juda
wadi-e-dil tak nazar aaegi ek chhoTi lakir
kar rahe ho aankh se tum jis tarah pani juda
baad-o-baran ne bhi us se dil-lagi kya KHub ki
jo uDa kar le gain chhatri juda chunari juda
KHwahishon par phir musallat ho gae duniya ke gham
ho raha hai dil se dhire dhire phir koi juda
der se milta hai jo rishton ke mele mein hamein
jaane ho jata hai kyon hum se wahi jaldi juda
uD gain murghabiyan par us taraf baiThe hue
ek laDke ko sabhi se kar gai goli juda
barhami rishton ki shadi ke dinon mein aam hai
jo bhi kar lo panw se hoti nahin pagDi juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.