aankh se jab KHwab ka qatra gira
aañkh se jab ḳhvāb kā qatra girā
mere ḳhālī haath par lamha girā
bhuul jā.eñgī havā.eñ rāsta
peḌ se jab āḳhirī patta girā
phir nayā mausam koī taḳhlīq kar
zardī-e-tasvīr par sabza girā
rang mere vo uThā kar le gayā
canvas par rah gayā nuqta girā
ho ga.e be-samt saare fāsle
ab mire pairoñ meñ vo rasta girā
aankh se jab KHwab ka qatra gira
mere KHali hath par lamha gira
bhul jaengi hawaen rasta
peD se jab aaKHiri patta gira
phir naya mausam koi taKHliq kar
zardi-e-taswir par sabza gira
rang mere wo uTha kar le gaya
canwas par rah gaya nuqta gira
ho gae be-samt sare fasle
ab mere pairon mein wo rasta gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.