aankh se KHwab ke inkar ka dukh apni jagah
aañkh se ḳhvāb ke inkār kā dukh apnī jagah
aur dil-e-hasrat-e-bedār kā dukh apnī jagah
mirī kashtī mirī patvār kā dukh apnī jagah
aur dariyāoñ ke us paar kā dukh apnī jagah
nabz pakḌe hue tīmār kī ḳhāmoshī alag
shor karte hue bīmār kā dukh apnī jagah
sar uThātī huī shāḳhoñ kā junūñ ek taraf
bojh Dhote hue ashjār kā dukh apnī jagah
ḳhālī jeboñ kī udāsī kā sabab ek taraf
hañste-gāte hue bāzār kā dukh apnī jagah
mujh pe paḌte hue saa.e kī chamak ek taraf
mujh pe girtī huī dīvār kā dukh apnī jagah
lafz-o-mā'nī ke mahakte hue gul-būTe alag
ḳhuuñ ugalte hue ash'ār kā dukh apnī jagah
ye tire saath kamā.ī huī rusvā.ī alag
aur mirī zaat ke āzār kā dukh apnī jagah
aankh se KHwab ke inkar ka dukh apni jagah
aur dil-e-hasrat-e-bedar ka dukh apni jagah
meri kashti meri patwar ka dukh apni jagah
aur dariyaon ke us par ka dukh apni jagah
nabz pakDe hue timar ki KHamoshi alag
shor karte hue bimar ka dukh apni jagah
sar uThati hui shaKHon ka junun ek taraf
bojh Dhote hue ashjar ka dukh apni jagah
KHali jebon ki udasi ka sabab ek taraf
hanste-gate hue bazar ka dukh apni jagah
mujh pe paDte hue sae ki chamak ek taraf
mujh pe girti hui diwar ka dukh apni jagah
lafz-o-ma'ni ke mahakte hue gul-buTe alag
KHun ugalte hue ash'ar ka dukh apni jagah
ye tere sath kamai hui ruswai alag
aur meri zat ke aazar ka dukh apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.