aankh se TuT kar giri thi nind
aañkh se TuuT kar girī thī niiñd
vo jo mad.hosh ho chukī thī niiñd
merī āñkhoñ ke kyuuñ jharoke tak
aa ke chup-chāp sī khaḌī thī niiñd
kis ne chheḌā havā ke lahje meñ
kaisī ḳhāmosh sī paḌī thī niiñd
niilī āñkhoñ kī kar rahā thā maiñ
jab tilāvat to jal ga.ī thī niiñd
kitnī pur-lutf thiiñ mirī rāteñ
un dinoñ jab harī-bharī thī niiñd
chāñd mere sirhāne baiThā thā
aur baġhal meñ khaḌī huī thī niiñd
jab talak maiñ kivāḌ kartā band
'sājid' mujh duur jā chukī thī niiñd
aankh se TuT kar giri thi nind
wo jo madhosh ho chuki thi nind
meri aankhon ke kyun jharoke tak
aa ke chup-chap si khaDi thi nind
kis ne chheDa hawa ke lahje mein
kaisi KHamosh si paDi thi nind
nili aankhon ki kar raha tha main
jab tilawat to jal gai thi nind
kitni pur-lutf thin meri raaten
un dinon jab hari-bhari thi nind
chand mere sirhane baiTha tha
aur baghal mein khaDi hui thi nind
jab talak main kiwaD karta band
'sajid' mujh dur ja chuki thi nind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.