aankh unki to kuchh aur hi kahti hai zaban aur
aañkh un kī to kuchh aur hī kahtī hai zabāñ aur
'ġhālib' kā sā un kā bhī hai andāz-e-bayāñ aur
dīvāne haiñ dekheñge unheñ dīda-e-dil se
gar ḳhud ko chhupā.eñge to hoñge vo 'ayāñ aur
jazbāt dabāoge to dard aur baḌhegā
gar aag bujhāoge to uTThegā dhuāñ aur
ai vaqt tire bas meñ nahīñ in ko miTānā
qadmoñ ke nishāñ aur haiñ zaḳhmoñ ke nishāñ aur
mahsūs ye hotā hai ki maiñ Tuut rahā huuñ
TuuTā hai mirī āñkhoñ meñ ik ḳhvāb-e-girāñ aur
tā'mīr pe tā'mīr maiñ kartā huuñ nasheman
nārāz thī nārāz huī barq-e-tapāñ aur
ye kahne lage ahl-e-junūñ ahl-e-ḳhirad se
masjid kī azaañ aur hai sahrā kī azaañ aur
mahfil meñ yahī soch ke baiThā huuñ abhī tak
mahfil se uThā terī to jā.uñgā kahāñ aur
aankh un ki to kuchh aur hi kahti hai zaban aur
'ghaalib' ka sa un ka bhi hai andaz-e-bayan aur
diwane hain dekhenge unhen dida-e-dil se
gar KHud ko chhupaenge to honge wo 'ayan aur
jazbaat dabaoge to dard aur baDhega
gar aag bujhaoge to uTThega dhuan aur
ai waqt tere bas mein nahin in ko miTana
qadmon ke nishan aur hain zaKHmon ke nishan aur
mahsus ye hota hai ki main Tut raha hun
TuTa hai meri aankhon mein ek KHwab-e-giran aur
ta'mir pe ta'mir main karta hun nasheman
naraaz thi naraaz hui barq-e-tapan aur
ye kahne lage ahl-e-junun ahl-e-KHirad se
masjid ki azan aur hai sahra ki azan aur
mahfil mein yahi soch ke baiTha hun abhi tak
mahfil se uTha teri to jaunga kahan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.