aankh viran thi peD sunsan tha gard-alud KHwabon ka dalan tha
aankh viran thi peD sunsan tha gard-alud KHwabon ka dalan tha
Mehmood Rashid
MORE BYMehmood Rashid
aañkh vīrān thī peḌ sunsān thā gard-ālūd ḳhvāboñ kā dālān thā
zard patte bikharte rahe sahn meñ aur kamre meñ afsurda guldān thā
dasht aur baaġh donoñ maqāmāt par mere qadmoñ ke miTte nishānāt par
chāñdnī chup kī poshāk pahne milī chāñd ḳhāmosh manzar meñ hairān thā
qaht-sālī kī rut muskurātī rahī sūkhī naddī se lū dhuul uḌātī rahī
dhuup qābiz thī be-rang māhaul par abr bastī ke khetoñ se anjān thā
bahte dariyāoñ kī dostī par fidā mehrbāñ bādaloñ kī ḳhushī meñ magan
ek phaldār peḌoñ kī vaadī thī vo ek sarsabz ḳhushbū kā maidān thā
sabz beloñ kī ḳhvāhish meñ chaltī rahī garm Tīloñ se daa.im guzartī rahī
dhuup kī sarhadoñ se na aage baḌhī chhāñv garche kahānī kā 'unvān thā
kuchh parindoñ kī āvāz aatī rahī puḳhta saḌkoñ kī talḳhī miTātī rahī
dil meñ bedār jangal kī tasvīr thī shahr to varna mujh ko bayābān thā
aankh viran thi peD sunsan tha gard-alud KHwabon ka dalan tha
zard patte bikharte rahe sahn mein aur kamre mein afsurda guldan tha
dasht aur bagh donon maqamat par mere qadmon ke miTte nishanat par
chandni chup ki poshak pahne mili chand KHamosh manzar mein hairan tha
qaht-sali ki rut muskuraati rahi sukhi naddi se lu dhul uDati rahi
dhup qabiz thi be-rang mahaul par abr basti ke kheton se anjaan tha
bahte dariyaon ki dosti par fida mehrban baadalon ki KHushi mein magan
ek phaldar peDon ki wadi thi wo ek sarsabz KHushbu ka maidan tha
sabz belon ki KHwahish mein chalti rahi garm Tilon se daim guzarti rahi
dhup ki sarhadon se na aage baDhi chhanw garche kahani ka 'unwan tha
kuchh parindon ki aawaz aati rahi puKHta saDkon ki talKHi miTati rahi
dil mein bedar jangal ki taswir thi shahr to warna mujh ko bayaban tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.